Dhyaan karate hain hum Bhagwan ka
apmaan karte hain hum insaan ka.
Insaan ka dil hai ghar Bhagwan ka
jab apmaan kiya insaan ka, toh kaise hua
samman Bhagwan ka?
Jab hum karte hain sabhi ka samman ek
samaan, toh ho jaata hai Bhagwan ka
sachcha Dhyaan.
Dhyaan woh nahin jo karya hai ekant
ka, Dhyaan wohi hai jisme hai marg sabhi
ke kalyan ka.
Dhyaan de insaan insaan ka, toh Dhyaan
ho jaaye Bhagwan ka.
No comments:
Post a Comment